agar  kaj-rau  haiñ  anjum  āsmāñ  terā  hai  yā  merā
mujhe  fikr-e-jahāñ  kyuuñ  ho  jahāñ  terā  hai  yā  merā
agar  hañgāma-hā-e-shauq  se  hai  lā-makāñ  ḳhālī
ḳhatā  kis  kī  hai  yā  rab  lā-makāñ  terā  hai  yā  merā
use  sub.h-e-azal  inkār  kī  jur.at  huī  kyūñkar
mujhe  mālūm  kyā  vo  rāz-dāñ  terā  hai  yā  merā
mohammad  bhī  tirā  jibrīl  bhī  qur.ān  bhī  terā
magar  ye  harf-e-shīrīñ  tarjumāñ  terā  hai  yā  merā
isī  kaukab  kī  tābānī  se  hai  terā  jahāñ  raushan
zavāl-e-ādam-e-ḳhākī  ziyāñ  terā  hai  yā  merā