naala  hai  bulbul-e-shorīda  tirā  ḳhaam  abhī
apne  siine  meñ  ise  aur  zarā  thaam  abhī
puḳhta  hotī  hai  agar  maslahat-andesh  ho  aql
ishq  ho  maslahat-andesh  to  hai  ḳhaam  abhī
be-ḳhatar  kuud  paḌā  ātish-e-namrūd  meñ  ishq
aql  hai  mahv-e-tamāshā-e-lab-e-bām  abhī
ishq  farmūda-e-qāsid  se  subuk-gām-e-amal
aql  samjhī  hī  nahīñ  ma.anī-e-paiġhām  abhī
sheva-e-ishq  hai  āzādī  o  dahr-āshobī
tū  hai  zunnārī-e-but-ḳhāna-e-ayyām  abhī
uzr-e-parhez  pe  kahtā  hai  bigaḌ  kar  saaqī
hai  tire  dil  meñ  vahī  kāvish-e-anjām  abhī
sa.ī-e-paiham  hai  tarāzu-e-kam-o-kaif-e-hayāt
terī  mīzāñ  hai  shumār-e-sahar-o-shām  abhī
abr-e-naisāñ  ye  tunuk-baḳhshī-e-shabnam  kab  tak
mere  kohsār  ke  laale  haiñ  tahī-jām  abhī
bāda-gardān-e-ajam  vo  arabī  merī  sharāb
mire  sāġhar  se  jhijakte  haiñ  mai-āshām  abhī
ḳhabar  'iqbāl'  kī  laa.ī  hai  gulistāñ  se  nasīm
nau-giraftār  phaḌaktā  hai  tah-e-dām  abhī