apnī  jaulāñ-gāh  zer-e-āsmāñ  samjhā  thā  maiñ
aab  o  gil  ke  khel  ko  apnā  jahāñ  samjhā  thā  maiñ
be-hijābī  se  tirī  TuuTā  nigāhoñ  kā  tilism
ik  ridā-e-nīl-gūñ  ko  āsmāñ  samjhā  thā  maiñ
kārvāñ  thak  kar  fazā  ke  pech-o-ḳham  meñ  rah  gayā
mehr  o  maah  o  mushtarī  ko  ham-ināñ  samjhā  thā  maiñ
ishq  kī  ik  jast  ne  tai  kar  diyā  qissa  tamām
is  zamīn  o  āsmāñ  ko  be-karāñ  samjhā  thā  maiñ
kah  ga.iiñ  rāz-e-mohabbat  parda-dārī-hā-e-shauq
thī  fuġhāñ  vo  bhī  jise  zabt-e-fuġhāñ  samjhā  thā  maiñ
thī  kisī  darmāñda  rah-rau  kī  sadā-e-dardnāk
jis  ko  āvāz-e-rahīl-e-kārvāñ  samjhā  thā  maiñ