zamīr-e-lāla  mai-e-lāl  se  huā  labrez
ishāra  paate  hī  suufī  ne  toḌ  dī  parhez
bichhā.ī  hai  jo  kahīñ  ishq  ne  bisāt  apnī
kiyā  hai  us  ne  faqīroñ  ko  vāris-e-parvez
purāne  haiñ  ye  sitāre  falak  bhī  farsūda
jahāñ  vo  chāhiye  mujh  ko  ki  ho  abhī  nau-ḳhez
kise  ḳhabar  hai  ki  hañgāma-e-nashūr  hai  kyā
tirī  nigāh  kī  gardish  hai  merī  rustā-ḳhez
na  chhīn  lazzat-e-āh-e-sahar-gahī  mujh  se
na  kar  nigah  se  taġhāful  ko  iltifāt  aamez
dil-e-ġhamīñ  ke  muāfiq  nahīñ  hai  mausam-e-gul
sadā-e-murġh-e-chaman  hai  bahut  nashāt  añgez
hadīs-e-be-ḳhabrāñ  hai  tū  bā  zamāna  ba-sāz
zamāna  bā  to  na  sāzad  tū  bā  zamāna  satez