shu.ūr  o  hosh  o  ḳhirad  kā  mo.āmla  hai  ajiib
maqām-e-shauq  meñ  haiñ  sab  dil  o  nazar  ke  raqīb
maiñ  jāntā  huuñ  jamā.at  kā  hashr  kyā  hogā
masā.il-e-nazarī  meñ  ulajh  gayā  hai  ḳhatīb
agarche  mere  nasheman  kā  kar  rahā  hai  tavāf
mirī  navā  meñ  nahīñ  tā.ir-e-chaman  kā  nasīb
sunā  hai  maiñ  ne  suḳhan-ras  hai  turk-e-usmānī
sunā.e  kaun  use  'iqbāl'  kā  ye  sher-e-ġharīb
samajh  rahe  haiñ  vo  europe  ko  ham-javār  apnā
sitāre  jin  ke  nasheman  se  haiñ  ziyāda  qarīb