garm-e-fuġhāñ  hai  jaras  uTh  ki  gayā  qāfila
vaa.e  vo  rah-rau  ki  hai  muntazir-e-rāhila
terī  tabī.at  hai  aur  terā  zamāna  hai  aur
tere  muāfiq  nahīñ  ḳhānqahī  silsila
dil  ho  ġhulām-e-ḳhirad  yā  ki  imām-e-ḳhirad
sālik-e-rah  hoshiyār  saḳht  hai  ye  marhala
us  kī  ḳhudī  hai  abhī  shām-o-sahar  meñ  asiir
gardish-e-daurāñ  kā  hai  jis  kī  zabāñ  par  gila
tere  nafas  se  huī  ātish-e-gul  tez-tar
murġh-e-chaman  hai  yahī  terī  navā  kā  sila