har  ik  maqām  se  aage  guzar  gayā  mah-e-nau
kamāl  kis  ko  mayassar  huā  hai  be-tag-o-dau
nafas  ke  zor  se  vo  ġhuncha  vā  huā  bhī  to  kyā
jise  nasīb  nahīñ  āftāb  kā  partav
nigāh  paak  hai  terī  to  paak  hai  dil  bhī
ki  dil  ko  haq  ne  kiyā  hai  nigāh  kā  pairav
panap  sakā  na  ḳhayābāñ  meñ  lāla-e-dil-soz
ki  sāzgār  nahīñ  ye  jahān-e-gandum-o-jau
rahe  na  'aibak'  o  'ġhaurī'  ke  mārke  baaqī
hamesha  taaza  o  shīrīñ  hai  naġhma-e-'ḳhusrau'