maktaboñ  meñ  kahīñ  rānā.i-e-afkār  bhī  hai
ḳhānqāhoñ  meñ  kahīñ  lazzat-e-asrār  bhī  hai
manzil-e-rah-ravāñ  duur  bhī  dushvār  bhī  hai
koī  is  qāfile  meñ  qāfila-sālār  bhī  hai
baḌh  ke  ḳhaibar  se  hai  ye  mārka-e-dīn-o-vatan
is  zamāne  meñ  koī  haidar-e-karrār  bhī  hai
ilm  kī  had  se  pare  banda-e-momin  ke  liye
lazzat-e-shauq  bhī  hai  nemat-e-dīdār  bhī  hai
pīr-e-mai-ḳhāna  ye  kahtā  hai  ki  aivān-e-farañg
sust-buniyād  bhī  hai  ā.īna-dīvār  bhī  hai