lā  phir  ik  baar  vahī  baada  o  jaam  ai  saaqī
haath  aa  jaa.e  mujhe  merā  maqām  ai  saaqī
tiin  sau  saal  se  haiñ  hind  ke  mai-ḳhāne  band
ab  munāsib  hai  tirā  faiz  ho  aam  ai  saaqī
merī  mīnā-e-ġhazal  meñ  thī  zarā  sī  baaqī
sheḳh  kahtā  hai  ki  hai  ye  bhī  harām  ai  saaqī
sher  mardoñ  se  huā  besha-e-tehqīq  tahī
rah  ga.e  suufī  o  mullā  ke  ġhulām  ai  saaqī
ishq  kī  teġh-e-jigar-dār  uḌā  lī  kis  ne
ilm  ke  haath  meñ  ḳhālī  hai  niyām  ai  saaqī
siina  raushan  ho  to  hai  soz-e-suḳhan  ain-e-hayāt
ho  na  raushan  to  suḳhan  marg-e-davām  ai  saaqī
tū  mirī  raat  ko  mahtāb  se  mahrūm  na  rakh
tire  paimāne  meñ  hai  māh-e-tamām  ai  saaqī