ḳhudī  ho  ilm  se  mohkam  to  ġhairat-e-jibrīl
agar  ho  ishq  se  mohkam  to  sūr-e-isrāfīl
azāb-e-dānish-e-hāzir  se  bā-ḳhabar  huuñ  maiñ
ki  maiñ  is  aag  meñ  Daalā  gayā  huuñ  misl-e-ḳhalīl
fareb-ḳhurda-e-manzil  hai  kārvāñ  varna
ziyāda  rāhat-e-manzil  se  hai  nashāt-e-rahīl
nazar  nahīñ  to  mire  halqa-e-suḳhan  meñ  na  baiTh
ki  nukta-hā-e-ḳhudī  haiñ  misāl-e-teġh-e-asīl
mujhe  vo  dars-e-farñg  aaj  yaad  aate  haiñ
kahāñ  huzūr  kī  lazzat  kahāñ  hijāb-e-dalīl
añdherī  shab  hai  judā  apne  qāfile  se  hai  tū
tire  liye  hai  mirā  shola-e-navā  qindīl
ġharīb  o  saada  o  rañgīñ  hai  dāstān-e-haram
nihāyat  is  kī  husain  ibtidā  hai  ismā.īl