DhūñD  rahā  hai  farañg  aish-e-jahāñ  kā  davām
vā-e-tamannā-e-ḳhām  vā-e-tamannā-e-ḳhām
pīr-e-haram  ne  kahā  sun  ke  merī  rūedād
puḳhta  hai  terī  fuġhāñ  ab  na  ise  dil  meñ  thaam
thā  arenī  go  kalīm  maiñ  arenī  go  nahīñ
us  ko  taqāzā  ravā  mujh  pe  taqāzā  harām
garche  hai  ifshā-e-rāz  ahl-e-nazar  kī  fuġhāñ
ho  nahīñ  saktā  kabhī  sheva-e-rindāna  aam
halqa-e-sūfī  meñ  zikr  be-nam  o  be-soz-o-sāz
maiñ  bhī  rahā  tishna-kām  tū  bhī  rahā  tishna-kām
ishq  tirī  intihā  ishq  mirī  intihā
tū  bhī  abhī  nā-tamām  maiñ  bhī  abhī  nā-tamām
aah  ki  khoyā  gayā  tujh  se  faqīrī  kā  raaz
varna  hai  māl-e-faqīr  saltanat-e-rūm-o-shām