ye  payām  de  ga.ī  hai  mujhe  bād-e-sub.h-gāhī
ki  ḳhudī  ke  ārifoñ  kā  hai  maqām  pādshāhī
tirī  zindagī  isī  se  tirī  aabrū  isī  se
jo  rahī  ḳhudī  to  shāhī  na  rahī  to  rū-siyāhī
na  diyā  nishān-e-manzil  mujhe  ai  hakīm  tū  ne
mujhe  kyā  gila  ho  tujh  se  tū  na  rah-nashīñ  na  raahī
mire  halqa-e-suḳhan  meñ  abhī  zer-e-tarbiyat  haiñ
vo  gadā  ki  jānte  haiñ  rah-o-rasm-e-kaj-kulāhī
ye  muāmle  haiñ  nāzuk  jo  tirī  razā  ho  tū  kar
ki  mujhe  to  ḳhush  na  aayā  ye  tarīq-e-ḳhānqāhī
tū  humā  kā  hai  shikārī  abhī  ibtidā  hai  terī
nahīñ  maslahat  se  ḳhālī  ye  jahān-e-murġh-o-māhī
tū  arab  ho  yā  ajam  ho  tirā  lā  ilaah  illā
luġhat-e-ġharīb  jab  tak  tirā  dil  na  de  gavāhī