ne  mohra  baaqī  ne  mohra-bāzī
jiitā  hai  'rūmī'  haarā  hai  'rāzī'
raushan  hai  jām-e-jamshed  ab  tak
shāhī  nahīñ  hai  ba-shīsha-bāzī
dil  hai  musalmāñ  merā  na  terā
tū  bhī  namāzī  maiñ  bhī  namāzī
maiñ  jāntā  huuñ  anjām  us  kā
jis  mārke  meñ  mullā  hoñ  ġhāzī
turkī  bhī  shīrīñ  taazī  bhī  shīrīñ
harf-e-mohabbat  turkī  na  taazī
aazar  kā  pesha  ḳhārā-tarāshī
kār-e-ḳhalīlāñ  ḳhārā-gudāzī
tū  zindagī  hai  pā.endagī  hai
baaqī  hai  jo  kuchh  sab  ḳhāk-bāzī