aflāk  se  aatā  hai  nāloñ  kā  javāb  āḳhir
karte  haiñ  ḳhitāb  āḳhir  uThte  haiñ  hijāb  āḳhir
ahvāl-e-mohabbat  meñ  kuchh  farq  nahīñ  aisā
soz  o  tab-o-tāb  avval  soz  o  tab-o-tāb  āḳhir
maiñ  tujh  ko  batātā  huuñ  taqdīr-e-umam  kyā  hai
shamshīr-o-sināñ  avval  tā.ūs-o-raubāb  āḳhir
mai-ḳhāna-e-europe  ke  dastūr  nirāle  haiñ
laate  haiñ  surūr  avval  dete  haiñ  sharāb  āḳhir
kyā  dabdaba-e-nādir  kyā  shaukat-e-taimūrī
ho  jaate  haiñ  sab  daftar  ġharq-e-mai-e-nāb  āḳhir
ḳhalvat  kī  ghaḌī  guzrī  jalvat  kī  ghaḌī  aa.ī
chhuTne  ko  hai  bijlī  se  āġhosh-e-sahāb  āḳhir
thā  zabt  bahut  mushkil  is  sail-e-ma.ānī  kā
kah  Daale  qalandar  ne  asrār-e-kitāb  āḳhir