mujhe  āh-o-fuġhān-e-nīm-shab  kā  phir  payām  aayā
tham  ai  rah-rau  ki  shāyad  phir  koī  mushkil  maqām  aayā
zarā  taqdīr  kī  gahrā.iyoñ  meñ  Duub  jā  tū  bhī
ki  is  jañgāh  se  maiñ  ban  ke  teġh-e-be-niyām  aayā
ye  misrā  likh  diyā  kis  shoḳh  ne  mehrāb-e-masjid  par
ye  nādāñ  gir  ga.e  sajdoñ  meñ  jab  vaqt-e-qayām  aayā
chal  ai  merī  ġharībī  kā  tamāshā  dekhne  vaale
vo  mahfil  uTh  ga.ī  jis  dam  to  mujh  tak  daur-e-jām  aayā
diyā  'iqbāl'  ne  hindī  musalmānoñ  ko  soz  apnā
ye  ik  mard-e-tan-āsāñ  thā  tan-āsānoñ  ke  kaam  aayā
usī  'iqbāl'  kī  maiñ  justujū  kartā  rahā  barsoñ
baḌī  muddat  ke  baad  āḳhir  vo  shāhīñ  zer-e-dām  aayā