yahāñ  par  mirā  kuchh  bhī  thā  hī  nahīñ
so  ghāTā  zarā  bhī  huā  hī  nahīñ
ragoñ  tak  meñ  ḳhushbū  tirī  jazb  kī
havā  pe  bharosa  kiyā  hī  nahīñ
mire  dil  kī  hālat  jo  thī  vo  rahī
ye  paudā  shajar  to  huā  hī  nahīñ
vo  kyā  mājrā  thā  khulā  hī  nahīñ
nishāne  pe  patthar  lagā  hī  nahīñ
kahānī  diye  kī  bahut  ḳhuub  hai
magar  is  meñ  zikr-e-havā  hī  nahīñ
javāboñ  ke  chehroñ  pe  haiñ  uljhaneñ
savāloñ  kā  ab  tak  pata  hī  nahīñ
safar  kā  maiñ  āġhāz  kaise  karūñ
mire  haq  meñ  koī  duā  hī  nahīñ