milā  hai  apne  hone  kā  nishāñ  ik
sunī  sadiyoñ  purānī  dāstāñ  ik
hamārī  soch  to  miltī  hai  kitnī
magar  kyuuñ  kar  nahīñ  apnī  zabāñ  ik
mirā  har  ik  yaqīñ  jhuTlā  rahā  hai
vo  jo  mujh  meñ  makīñ  hai  bad-gumāñ  ik
hue  haiñ  be-ma.ānī  bāl-o-par  ab
milā  nīche  zamīñ  ke  āsmāñ  ik
bure  logoñ  se  milvātā  hai  mujh  ko
jatātā  hai  vahī  achchhā  yahāñ  ik
merī  chup  se  bhī  vo  jhuñjhlā  rahā  hai
ḳhamoshī  kī  bhī  hotī  hai  zabāñ  ik
ḳhudā  ko  bhī  rakheñge  dastaras  meñ
zamīñ  par  vo  banā  ke  āsmāñ  ik
na  tere  ho  sake  ham  nā  hī  apne
rahī  aadhī  adhūrī  dāstāñ  ik