tere  hisse  kā  bach  gayā  hai  kuchh
merī  āñkhoñ  meñ  chubh  rahā  hai  kuchh
ham  bhī  māhir  haiñ  ab  tere  fan  meñ
dil  meñ  hai  kuchh  magar  kahā  hai  kuchh
yaad  karnā  tumheñ  hai  aadat  meñ
varna  dil  meñ  nahīñ  bacha  hai  kuchh
din  meñ  bhī  sochte  haiñ  ham  tujh  ko
raat  is  baat  pe  ḳhafā  hai  kuchh
na  huā  merā  aur  na  us  kā  hī
dil  ke  hone  kā  fā.eda  hai  kuchh
ik  sitāre  ke  TuuT  jaane  se
arsh  kā  bojh  baḌh  gayā  hai  kuchh
terī  āñkheñ  jise  mayassar  hoñ
phir  kahāñ  us  ko  aa.ina  hai  kuchh
jaan  niklī  na  tere  jaane  pe
mere  haq  meñ  ajab  sazā  hai  kuchh
sirf  mere  nahīñ  haiñ  ye  aañsū
in  meñ  hissa  raqīb  kā  hai  kuchh
ab  duā.eñ  mirī  nahīñ  suntā
arsh  būḌhā  sā  ho  gayā  hai  kuchh