zer-e-lab  ham  ne  tishnagī  kar  lī
ik  samundar  se  dostī  kar  lī
raah  takte  rahe  havāoñ  kī
phir  charāġhoñ  ne  ḳhud-kushī  kar  lī
vaqt  kī  chaal  dekhne  ke  liye
ham  ne  raftār  meñ  kamī  kar  lī
kaam  koī  na  ho  sakā  ham  se
ham  ne  har  fikr  peshgī  kar  lī
ham  ne  har  ġham  chhupā  liyā  us  se
zabt  us  ne  bhī  har  ḳhushī  kar  lī
rāt-bhar  koste  haiñ  duniyā  ko
sub.h  hote  hī  dostī  kar  lī