raushnī  kā  saath  mahñgā  paḌ  gayā  hai
jaane  kis  vahshat  meñ  saaya  paḌ  gayā  hai
aap  kī  jādūgarī  ke  vāste  hī
ḳhud  ko  hairat  meñ  dikhānā  paḌ  gayā  hai
phir  mujhe  darpesh  haiñ  ḳhushiyāñ  tumhārī
phir  se  ġham  apnā  chhupānā  paḌ  gayā  hai
ham  kahāñ  un  ko  biThā.eñ  soch  meñ  haiñ
ghar  hamārā  kitnā  chhoTā  paḌ  gayā  hai
dasht  kī  azmat  bhī  ab  ḳhatre  meñ  aa.ī
mere  pīchhe  ghar  kā  rasta  paḌ  gayā  hai
khīñch  laatā  hai  mujhe  dar  tak  tumhāre
mere  pīchhe  koī  bachcha  paḌ  gayā  hai
maiñ  lagā  huuñ  DhūñDhne  meñ  ruuh  ko  aur
jism  bechāra  akelā  paḌ  gayā  hai