shor-e-dariyā-e-vafā-e-ishrat  ishrat-e-sāhil  ke  qarīb
ruk  ga.e  apne  qadam  aa.e  jo  manzil  ke  qarīb
phir  ye  vāraftagi-e-shauq  samajh  meñ  aa.e
ik  zarā  jā  ke  to  dekhe  koī  bismil  ke  qarīb
un  se  bichhḌe  hue  muddat  huī  lekin  ab  bhī
ik  chubhan  hotī  hai  mahsūs  mujhe  dil  ke  qarīb
aks-e-bāzār  yahāñ  bhī  na  ho  is  ḳhauf  se  ham
lauT  lauT  aa.e  haiñ  jā  kar  tirī  mahfil  ke  qarīb