Suleman Khumar

kyun mere dukh chunte ho

Suleman Khumar

Bagalkot, Karnataka, India

1944
kyuuñ mere dukh chunte ho
tum mere kyā lagte ho
mujh ko joḌne baiThe ho
andar se ḳhud TuuTe ho
mere dukh kī taheñ hazār
kyuuñ ḳhud ko uljhāte ho
mujh ko sab kuchh maan liyā
tum bhī kitne bhole ho
pyaar mohabbat ishq vafā
kaisī bāteñ karte ho
dhyān ke kore kāġhaz par
kyā kyā likhte rahte ho
duniyā sab kuchh paḌhtī hai
duniyā ko kyā samjhe ho
maiñ ik āvāra jhoñkā
ghar meñ kab tak rakhte ho
Top Urdushayar.com