agar  tū  saath  chal  paḌtā  safar  āsān  ho  jaatā
ḳhushī  se  umr  bhar  jiine  kā  ik  sāmān  ho  jaatā
na  jā  kar  kyuuñ  jatātā  hai  jo  jaanā  thā  chalā  jaatā
bahut  hotā  to  ye  hotā  ki  maiñ  hairān  ho  jaatā
jo  merī  samt  tū  do  gaam  bhī  hañs  kar  chalā  aatā
maiñ  tere  aur  tū  mere  liye  īmān  ho  jaatā
ḳhushī  se  mujh  pe  kyā  jaane  guzar  jaanī  thī  phir  'hāmid'
ghaḌī  pal  ko  bhī  tū  mujh  par  jo  kuchh  qurbān  ho  jaatā