ḳhush-baḳht  haiñ  āzād  haiñ  jo  apne  suḳhan  meñ
ḳhush-baḳht  haiñ  jo  qaid  hai  nekī  ke  chalan  meñ
is  aañkh  ne  kyā  hotā  huā  dekh  liyā  hai
bhauñchāl  sā  barpā  hai  ajab  mere  badan  meñ
jo  kaam  karo  jab  bhī  karo  Duub  ke  us  meñ
har  ek  tahayyur  hai  junūñ-zād  lagan  meñ
ġhammāz  to  kuchh  hotā  hai  ādāt  kā  chehra
sūraj  kā  tasavvur  bhī  to  hotā  hai  kiran  meñ