ḳhushī  ke  vaqt  bhī  tujh  ko  malāl  kaisā  hai
urūj-e-husn  meñ  naqs-e-kamāl  kaisā  hai
jo  ek  duuje  ko  chāheñ  to  kyuuñ  na  apnā  leñ
ye  dil  se  pūchh  ke  batlā  ḳhayāl  kaisā  hai
nahīñ  jo  aane  ke  sab  un  kī  raah  takte  haiñ
ye  intizār  kā  shahr-e-vabāl  kaisā  hai
hai  jis  ke  saath  juḌe  ik  hazār  ik  ḳhadshe
vo  hijr  kaisā  hai  'hāmid'  visāl  kaisā  hai