Aziz Ahmad Khan Shafaq

zauq-e-amal ke samne duri simaT gai

Aziz Ahmad Khan Shafaq

zauq-e-amal ke sāmne duurī simaT ga.ī

darvāza ham ne kholā to dīvār haT ga.ī

beTe ko apne dekh ke ik baap ne kahā

tum ho ga.e javān magar umr ghaT ga.ī

pahle to ḳhud ko dekh ke hairat-zada huī

chiḌiyā phir ā.īne se lapak kar chimaT ga.ī

patvār bhī uThāne mohlat na mil sakī

aisī chalī havā.eñ ki kashtī ulaT ga.ī

nārāz ho gayā hai ḳhudā sab se ai 'shafaq'

duniyā tamām pyaar ke rishte se kaT ga.ī

Top Urdushayar.com