kuchh  ḳhaar  hī  nahīñ  mire  dāman  ke  yaar  haiñ
gardan  meñ  tauq  bhī  to  laḌakpan  ke  yaar  haiñ
siina  ho  kushtagān-e-mohabbat  kā  yā  galā
donoñ  ye  tere  ḳhanjar-e-āhan  ke  yaar  haiñ
ḳhātir  hamārī  kartā  hai  dair-o-haram  meñ  kaun
ham  to  na  shaiḳh  ke  na  barahman  ke  yaar  haiñ
kyā  pūchhtā  hai  mujh  se  nishāñ  sail-o-barq  kā
donoñ  qadīm  se  mire  ḳhirman  ke  yaar  haiñ
kyā  garm  haiñ  ki  kahte  haiñ  ḳhūbān-e-lucknow
london  ko  jaa.eñ  vo  jo  firañgan  ke  yaar  haiñ
vo  dushmanī  kareñ  to  kareñ  iḳhtiyār  hai
ham  to  adū  ke  dost  haiñ  dushman  ke  yaar  haiñ
kuchh  is  chaman  meñ  sabza-e-begāna  ham  nahīñ
nargis  ke  dost  lāla-o-sausan  ke  yaar  haiñ
kāñTe  haiñ  jitne  vādī-e-ġhurbat  ke  ai  junūñ
sab  āstīñ  ke  jeb  ke  dāman  ke  yaar  haiñ
gum-gashtagī  meñ  raah  batātā  hai  ham  ko  kaun
hai  ḳhizr  jin  kā  naam  vo  rahzan  ke  yaar  haiñ
chalte  haiñ  shauq-e-barq-e-tajallī  meñ  kyā  hai  ḳhauf
chīte  tamām  vādī-e-aiman  ke  yaar  haiñ
piirī  mujhe  chhuḌātī  hai  ahbāb  se  'amīr'
dandāñ  nahīñ  ye  mere  laḌakpan  ke  yaar  haiñ