hañs  ke  farmāte  haiñ  vo  dekh  ke  hālat  merī
kyuuñ  tum  āsān  samajhte  the  mohabbat  merī
ba.ad  marne  ke  bhī  chhoḌī  na  rifāqat  merī
merī  turbat  se  lagī  baiThī  hai  hasrat  merī
maiñ  ne  āġhosh-e-tasavvur  meñ  bhī  kheñchā  to  kahā
pis  ga.ī  pis  ga.ī  bedard  nazākat  merī
ā.īna  sub.h-e-shab-e-vasl  jo  dekhā  to  kahā
dekh  zālim  ye  thī  shaam  ko  sūrat  merī
yaar  pahlū  meñ  hai  tanhā.ī  hai  kah  do  nikle
aaj  kyuuñ  dil  meñ  chhupī  baiThī  hai  hasrat  merī
husn  aur  ishq  ham-āġhosh  nazar  aa  jaate
terī  tasvīr  meñ  khiñch  jaatī  jo  hairat  merī
kis  DhiTā.ī  se  vo  dil  chhīn  ke  kahte  haiñ  'amīr'
vo  mirā  ghar  hai  rahe  jis  meñ  mohabbat  merī