pūchhā  na  jā.egā  jo  vatan  se  nikal  gayā
be-kār  hai  jo  daañt  dahan  se  nikal  gayā
Thahreñ  kabhī  kajoñ  meñ  na  dam  bhar  bhī  rāst-rau
aayā  kamāñ  meñ  tiir  to  san  se  nikal  gayā
ḳhil.at  pahan  ke  aane  kī  thī  ghar  meñ  aarzū
ye  hausla  bhī  gor-o-kafan  se  nikal  gayā
pahlū  meñ  mere  dil  ko  na  ai  dard  kar  talāsh
muddat  huī  ġharīb  vatan  se  nikal  gayā
murġhān-e-bāġh  tum  ko  mubārak  ho  sair-e-gul
kāñTā  thā  ek  maiñ  so  chaman  se  nikal  gayā
kyā  rañg  terī  zulf  kī  bū  ne  uḌā  diyā
kāfūr  ho  ke  mushk  ḳhutan  se  nikal  gayā
pyāsā  huuñ  is  qadar  ki  mirā  dil  jo  gir  paḌā
paanī  ubal  ke  chāh-e-zaqan  se  nikal  gayā
saarā  jahān  naam  ke  pīchhe  tabāh  hai
insān  kiyā  aqīq-e-yaman  se  nikal  gayā
kāñToñ  ne  bhī  na  dāman-e-gulchīñ  pakaḌ  liyā
bulbul  ko  zab.h  kar  ke  chaman  se  nikal  gayā
kyā  shauq  thā  jo  yaad  sag-e-yār  ne  kiyā
har  ustuḳhāñ  taḌap  ke  badan  se  nikal  gayā
ai  sabza  rañg-e-ḳhat  bhī  banā  ab  to  bosa  de
begāna  thā  jo  sabza  chaman  se  nikal  gayā
manzūr  ishq  ko  jo  huā  auj-e-husn  par
qumrī  kā  naala  sarv-e-chaman  se  nikal  gayā
madd-e-nazar  rahī  hameñ  aisī  razā-e-dost
kaaTī  zabāñ  jo  shikva  dahan  se  nikal  gayā
tā.ūs  ne  dikhā.e  jo  apne  badan  ke  daaġh
rotā  huā  sahāb  chaman  se  nikal  gayā
sahrā  meñ  jab  huī  mujhe  ḳhush-chashmoñ  kī  talāsh
kosoñ  maiñ  āhuvān-e-ḳhutan  se  nikal  gayā
ḳhanjar  khiñchā  jo  myaan  se  chamkā  miyāñ-e-saf
jauhar  khule  jo  mard  vatan  se  nikal  gayā
meñ  sher  paḌh  ke  bazm  se  kiyā  uTh  gayā  'amīr'
bulbul  chahak  ke  sehn-e-chaman  se  nikal  gayā