kis  ke  chamke  chāñd  se  ruḳhsār  qiasar-bāġh  meñ
chāñdnī  hai  sāya-e-dīvār  qiasar-bāġh  meñ
fil-haqīqat  ye  bhī  kam  gulzār-e-jannat  se  nahīñ
hūreñ  phirtī  haiñ  sar-e-bāzār  qiasar-bāġh  meñ
paañv  kā  yaañ  zikr  kaisā  saaf  hai  aisī  zamīñ
dil  phisalte  haiñ  dam-e-raftār  qiasar-bāġh  meñ
zer-e-shāḳh-e-gul  agar  sabza  kabhī  sone  lagā
shor-e-bulbul  ne  kiyā  bedār  qiasar-bāġh  meñ
itne  patte  bhī  na  hoñge  gulshan-e-firdaus  meñ
jis  qadar  phūloñ  ke  haiñ  ambār  qiasar-bāġh  meñ
tishnigān-e-shauq  haiñ  shīrīñ-laboñ  ke  mehmāñ
baT  rahā  hai  sharbat-e-dīdār  qiasar-bāġh  meñ
qatre  shabnam  ke  rag-e-gul  par  dikhāte  haiñ  bahār
gundh  rahe  haiñ  motiyoñ  ke  haar  qiasar-bāġh  meñ
sāya-e-bāl-e-humā  kyā  DhūñDhtā  hai  ai  'amīr'
baiTh  zer-e-sāya-e-dīvār  qiasar-bāġh  meñ