guzar  ko  hai  bahut  auqāt  thoḌī
ki  hai  ye  tuul  qissa  raat  thoḌī
jo  mai  zāhid  ne  māñgī  mast  bole
bahut  yā  qibla-e-hājāt  thoḌī
kahāñ  ġhuncha  kahāñ  us  kā  dahan  tañg
baḌhā.ī  shā.eroñ  ne  baat  thoḌī
uThe  kyā  zānū-e-ġham  se  sar  apnā
bahut  guzrī  rahī  haihāt  thoḌī
ḳhayāl-e-zabt-e-girya  hai  jo  ham  ko
bahut  imsāl  hai  barsāt  thoḌī
pilā.e  le  ke  naqd-e-hosh  saaqī
tahī-dastoñ  kī  hai  auqāt  thoḌī
vahī  hai  āsmāñ  par  ganj-e-anjum
milī  thī  jo  tirī  ḳhairāt  thoḌī
tirā  ai  duḳht-e-raz  vāsif  hai  vaa.iz
pa.e-hurmat  hai  itnī  baat  thoḌī
chalo  manzil  'amīr'  āñkheñ  to  kholo
nihāyat  rah  ga.ī  hai  raat  thoḌī