haiñ  na  zindoñ  meñ  na  murdoñ  meñ  kamar  ke  āshiq
na  idhar  ke  haiñ  ilāhī  na  udhar  ke  āshiq
hai  vahī  aañkh  jo  mushtāq  tire  diid  kī  ho
kaan  vo  haiñ  jo  raheñ  terī  ḳhabar  ke  āshiq
jitne  nāvak  haiñ  kamāñ-dār  tire  tarkash  meñ
kuchh  mire  dil  ke  haiñ  kuchh  mere  jigar  ke  āshiq
barhaman  dair  se  ka.abe  se  phir  aa.e  haajī
tere  dar  se  na  saraknā  thā  na  sarke  āshiq
aañkh  dikhlāo  unheñ  marte  hoñ  jo  āñkhoñ  par
ham  to  haiñ  yaar  mohabbat  kī  nazar  ke  āshiq
chhup  rahe  hoñge  nazar  se  kahīñ  anqā  kī  tarah
tauba  kiije  kahīñ  marte  haiñ  kamar  ke  āshiq
be-jigar  ma.arka-e-ishq  meñ  kyā  Thahreñge
khāte  haiñ  ḳhanjar-e-ma.ashūq  ke  charke  āshiq
tujh  ko  ka.aba  ho  mubārak  dil-e-vīrāñ  ham  ko
ham  haiñ  zāhid  usī  ujḌe  hue  ghar  ke  āshiq
kyā  huā  letī  haiñ  pariyāñ  jo  balā.eñ  terī
ki  parī-zād  bhī  hote  haiñ  bashar  ke  āshiq
be-kasī  dard-o-alam  daaġh  tamannā  hasrat
chhoḌe  jaate  haiñ  pas-e-marg  ye  tarke  āshiq
be-sabab  sair-e-shab-e-māh  nahīñ  hai  ye  'amīr'
ho  ga.e  tum  bhī  kisī  rashk-e-qamar  ke  āshiq