Ameer Minai

gale mein hath the shab us pari se rahen thin

Ameer Minai

Lucknow, Uttar pradesh, India

1829-1900
gale meñ haath the shab us parī se rāheñ thiiñ
sahar huī to vo āñkheñ na vo nigāheñ thiiñ
nikal ke chehre pe maidān saaf ḳhat ne kiyā
kabhī ye shahr thā aisā ki band rāheñ thiiñ
firāq meñ tire āshiq ko jā ke kal dekhā
ki vo to hech thā kuchh ashk the kuchh aa.heñ thiiñ
bagūle ab haiñ ki ġhurbat hai gor-e-shāhañ par
saroñ pe chatr jilau meñ kabhī sipāheñ thiiñ
hazāroñ loT ga.e kal uThī jo vo chilman
ḳhadañg mū-e-mizha barchhiyāñ nigāheñ thiiñ
kiyā ye shauq ne andhā mujhe na sūjhā kuchh
vagarna rabt kī us se hazār rāheñ thiiñ
ye zo.af hai ki nikaltī nahīñ haiñ ab dil se
kabhī falak se bhī ūñchī hamārī aa.heñ thiiñ
jigar meñ hijr kī kal chubh rahī thiiñ kuchh fāñseñ
magar jo ġhaur se dekhā tirī nigāheñ thiiñ
pahuñch ga.e sar-e-manzil chale jo chaal na.ī
unhīñ meñ pher thā dekhī huī jo rāheñ thiiñ
falak ke daur se duniyā badal ga.ī varna
jahāñ bane haiñ ye mai-ḳhāne ḳhān-qāheñ thiiñ
ye zo.af ab hai ki hilnā girāñ hai qadmoñ ko
subuk-ravī meñ kabhī in ko dastgāheñ thiiñ
mushā.ere se hasīñ kyuuñ na chhīn le jaate
rubā.iyāñ mirī chū go shub.h kulāheñ thiiñ
hasīn zar ke haiñ tālib ki ab haiñ gird-e-'amīr'
ġharīb ham the to ye pyaar thā na chāheñ thiiñ
Top Urdushayar.com