jab  se  bulbul  tū  ne  do  tinke  liye
TūTtī  haiñ  bijliyāñ  in  ke  liye
hai  javānī  ḳhud  javānī  kā  siñgār
sādgī  gahna  hai  is  sin  ke  liye
kaun  vīrāne  meñ  dekhegā  bahār
phuul  jañgal  meñ  khile  kin  ke  liye
saarī  duniyā  ke  haiñ  vo  mere  sivā
maiñ  ne  duniyā  chhoḌ  dī  jin  ke  liye
bāġhbāñ  kaliyāñ  hoñ  halke  rañg  kī
bhejnī  hai  ek  kam-sin  ke  liye
sab  hasīñ  haiñ  zāhidoñ  ko  nā-pasand
ab  koī  huur  aa.egī  in  ke  liye
vasl  kā  din  aur  itnā  muḳhtasar
din  gine  jaate  the  is  din  ke  liye
sub.h  kā  sonā  jo  haath  aatā  'amīr'
bhejte  tohfa  mo.azzin  ke  liye