kahā  jo  maiñ  ne  ki  yūsuf  ko  ye  hijāb  na  thā
to  hañs  ke  bole  vo  muñh  qābil-e-naqāb  na  thā
shab-e-visāl  bhī  vo  shoḳh  be-hijāb  na  thā
naqāb  ulaT  ke  bhī  dekhā  to  be-naqāb  na  thā
lipaT  ke  chuum  liyā  muñh  miTā  diyā  un  kā
nahīñ  kā  un  ke  sivā  is  ke  kuchh  javāb  na  thā
mire  janāze  pe  ab  aate  sharm  aatī  hai
halāl  karne  ko  baiThe  the  jab  hijāb  na  thā
nasīb  jaag  uThe  so  ga.e  jo  paañv  mire
tumhāre  kūche  se  behtar  maqām-e-ḳhvāb  na  thā
ġhazab  kiyā  ki  ise  tū  ne  mohtasib  toḌā
are  ye  dil  thā  mirā  shīsha-e-sharāb  na  thā
zamāna  vasl  meñ  letā  hai  karvaTeñ  kyā  kyā
firāq-e-yār  ke  din  ek  inqalāb  na  thā
tumhīñ  ne  qatl  kiyā  hai  mujhe  jo  tante  ho
akele  the  malak-ul-maut  ham-rikāb  na  thā
duā-e-tauba  bhī  ham  ne  paḌhī  to  mai  pī  kar
maza  hī  ham  ko  kisī  shai  kā  be-sharāb  na  thā
maiñ  rū-e-yār  kā  mushtāq  ho  ke  aaya  thā
tire  jamāl  kā  shaidā  to  ai  naqāb  na  thā
bayān  kī  jo  shab-e-ġham  kī  bekasī  to  kahā
jigar  meñ  dard  na  thā  dil  meñ  iztirāb  na  thā
vo  baiThe  baiThe  jo  de  baiThe  qatl-e-ām  kā  hukm
hañsī  thī  un  kī  kisī  par  koī  itaab  na  thā
jo  laash  bhejī  thī  qāsid  kī  bhejte  ḳhat  bhī
rasīd  vo  to  mire  ḳhat  kī  thī  javāb  na  thā
surūr-e-qatl  se  thī  haath  paañv  ko  jumbish
vo  mujh  pe  vajd  kā  aalam  thā  iztirāb  na  thā
sabāt  bahr-e-jahāñ  meñ  nahīñ  kisī  ko  'amīr'
idhar  numūd  huā  aur  udhar  hubāb  na  thā