amiir  laakh  idhar  se  udhar  zamāna  huā
vo  but  vafā  pe  na  aayā  maiñ  be-vafā  na  huā
sar-e-niyāz  ko  terā  hī  āstāna  huā
sharāb-ḳhāna  huā  yā  qimār-ḳhāna  huā
huā  faroġh  jo  mujh  ko  ġham-e-zamāna  huā
paḌā  jo  daaġh  jigar  meñ  charāġh-e-ḳhāna  huā
ummīd  jā  ke  nahīñ  us  galī  se  aane  kī
ba-rañg-e-umr  mirā  nāma-bar  ravāna  huā
hazār  shukr  na  zaa.e  huī  mirī  khetī
ki  barq  o  sail  meñ  taqsīm  daana  daana  huā
qadam  huzūr  ke  aa.e  mire  nasīb  khule
javāb-e-qasr-e-sulaimāñ  ġharīb-ḳhāna  huā
tire  jamāl  ne  zohra  ko  daur  dikhlāyā
tire  jalāl  se  mirrīḳh  kā  zamāna  huā
koī  gayā  dar-e-jānāñ  pe  ham  hue  pāmāl
hamārā  sar  na  huā  sañg-e-āstāna  huā
faroġh-e-dil  kā  sabab  ho  ga.ī  bujhī  jo  havas
sharār-e-kushta  se  raushan  charāġh-e-ḳhāna  huā
jab  aa.ī  josh  pe  mere  karīm  kī  rahmat
girā  jo  aañkh  se  aañsū  dur-e-yagāna  huā
hasad  se  zahr  tan-e-āsmāñ  meñ  phail  gayā
jo  apnī  kisht  meñ  sarsabz  koī  daana  huā
chune  mahīnoñ  hī  tinke  ġharīb  bulbul  ne
magar  nasīb  na  do  roz  āshiyāna  huā
ḳhayāl-e-zulf  meñ  chhā.ī  ye  tīrgī  shab-e-hijr
ki  ḳhāl-e-chehra-e-zaḳhmī  charāġh-e-ḳhāna  huā
ye  josh-e-girya  huā  mere  said  hone  par
ki  chashm-e-dām  ke  aañsū  se  sabz  daana  huā
na  pūchh  nāz-o-niyāz  us  ke  mere  kab  se  haiñ
ye  husn  o  ishq  to  ab  hai  use  zamāna  huā
uThā.e  sadme  pe  sadme  to  aabrū  paa.ī
amiir  TuuT  ke  dil  gauhar-e-yagāna  huā