saaf  kahte  ho  magar  kuchh  nahīñ  khultā  kahnā
baat  kahnā  bhī  tumhārā  hai  muammā  kahnā
ro  ke  us  shoḳh  se  qāsid  mirā  ronā  kahnā
hañs  paḌe  us  pe  to  phir  harf-e-tamannā  kahnā
masal-e-maktūb  na  kahne  meñ  hai  kyā  kyā  kahnā
na  mirī  tarz-e-ḳhamoshī  na  kisī  kā  kahnā
aur  thoḌī  sī  shab-e-vasl  baḌhā  de  yā-rab
sub.h  nazdīk  hameñ  un  se  hai  kyā  kyā  kahnā
phaaḌ  khātā  hai  jo  ġhairoñ  ko  jhapaT  kar  sag-e-yār
maiñ  ye  kahtā  huuñ  mire  sher  tirā  kyā  kahnā
har  bun-e-mū-e-mizha  meñ  haiñ  yahāñ  sau  tūfāñ
ain  ġhaflat  hai  marī  aañkh  ko  dariyā  kahnā
vasf-e-ruḳh  meñ  jo  sune  sher  vo  hañs  kar  bole
sher  haiñ  nuur  ke  hai  nuur  kā  terā  kahnā
lā  sakoge  na  zarā  jalva-e-dīdār  kī  taab
arinī  muñh  se  na  ai  hazrat-e-mūsā  kahnā
kar  liyā  ahd  kabhī  kuchh  na  kaheñge  muñh  se
ab  agar  sach  bhī  kaheñ  tum  hameñ  jhūTā  kahnā
ḳhaak  meñ  zid  se  milāo  na  mire  aañsū  ko
sachche  motī  ko  munāsib  nahīñ  jhūTā  kahnā
kaise  nādāñ  haiñ  jo  achchhoñ  ko  burā  kahte  haiñ
ho  burā  bhī  to  use  chāhiye  achchhā  kahnā
dam-e-āḳhir  tū  buto  yaad  ḳhudā  karne  do
zindagī  bhar  to  kiyā  maiñ  ne  tumhārā  kahnā
paḌhte  haiñ  dekh  ke  us  but  ko  farishte  bhī  darūd
marhabā  salle-alā  salle-alā  kyā  kahnā
ai  buto  tum  jo  adā  aa  ke  karo  masjid  meñ
lab-e-mehrāb  kahe  nām-e-ḳhudā  kyā  kahnā
in  hasīnoñ  kī  jo  tārīf  karo  chiḌhte  haiñ
sach  to  ye  hai  ki  burā  hai  unheñ  achchhā  kahnā
shauq  ka.abe  liye  jaatā  hai  havas  jānib-e-dair
mere  allāh  bajā  lā.ūñ  meñ  kis  kā  kahnā
saarī  mahfil  ko  ishāroñ  meñ  luTā  do  ai  jaan
siikh  lo  chashm-e-suḳhan-go  se  latīfa  kahnā
ghaTte  ghaTte  meñ  rahā  ishq-e-kamar  meñ  aadhā
jāma-e-tan  ko  mire  chāhiye  niimā  kahnā
meñ  to  āñkhoñ  se  bajā  laatā  huuñ  irshād-e-huzūr
aap  sunte  nahīñ  kānoñ  se  bhī  merā  kahnā
chustī-e-tab.a  se  ustād  kā  hai  qaul  'amīr'
ho  zamīñ  sust  magar  chāhiye  achchhā  kahnā