maiñ  ro  ke  aah  karūñgā  jahāñ  rahe  na  rahe
zamīñ  rahe  na  rahe  āsmāñ  rahe  na  rahe
rahe  vo  jān-e-jahāñ  ye  jahāñ  rahe  na  rahe
makīñ  kī  ḳhair  ho  yā  rab  makāñ  rahe  na  rahe
abhī  mazār  par  ahbāb  fātiha  paḌh  leñ
phir  is  qadar  bhī  hamārā  nishāñ  rahe  na  rahe
ḳhudā  ke  vāste  kalma  butoñ  kā  paḌh  zāhid
phir  iḳhtiyār  meñ  ġhāfil  zabāñ  rahe  na  rahe
ḳhizāñ  to  ḳhair  se  guzrī  chaman  meñ  bulbul  kī
bahār  aa.ī  hai  ab  āshiyāñ  rahe  na  rahe
chalā  to  huuñ  pa.e  iz.hār-e-dard-e-dil  dekhūñ
huzūr-e-yār  majāl-e-bayāñ  rahe  na  rahe
'amīr'  jamā  haiñ  ahbāb  dard-e-dil  kah  le
phir  iltifāt-e-dil-e-dostāñ  rahe  na  rahe