achchhe  iisā  ho  marīzoñ  kā  ḳhayāl  achchhā  hai
ham  mare  jaate  haiñ  tum  kahte  ho  haal  achchhā  hai
tujh  se  māñgūñ  maiñ  tujhī  ko  ki  sabhī  kuchh  mil  jaa.e
sau  savāloñ  se  yahī  ek  savāl  achchhā  hai
dekh  le  bulbul  o  parvāna  kī  betābī  ko
hijr  achchhā  na  hasīnoñ  kā  visāl  achchhā  hai
aa  gayā  us  kā  tasavvur  to  pukārā  ye  shauq
dil  meñ  jam  jaa.e  ilāhī  ye  ḳhayāl  achchhā  hai
āñkheñ  dikhlāte  ho  joban  to  dikhāo  sāhab
vo  alag  bāñdh  ke  rakkhā  hai  jo  maal  achchhā  hai
barq  agar  garmi-e-raftār  meñ  achchhī  hai  'amīr'
garmi-e-husn  meñ  vo  barq-jamāl  achchhā  hai