dil  ko  tarz-e-nigah-e-yār  jatāte  aa.e
tiir  bhī  aa.e  to  be-par  kī  uḌāte  aa.e
bādshāhoñ  kā  hai  darbār  dar-e-pīr-e-muġhāñ
saikḌoñ  jaate  ga.e  saikḌoñ  aate  aa.e
chhup  ke  bhī  aa.e  mire  ghar  to  vo  darbānoñ  ko
apnī  pāzeb  kī  jhankār  sunāte  aa.e
roz-e-mahshar  jo  bulā.e  ga.e  dīvāna-e-zulf
beḌiyāñ  pahne  hue  shor  machāte  aa.e
kyā  kaheñge  koī  mahshar  meñ  jo  pūchhegā  'amīr'
kyuuñ  na  bigḌī  huī  bātoñ  ko  banāte  aa.e