chāñd  sā  chehra  nuur  kī  chitvan  māshā-allāh  māshā-allāh
turfa  nikālā  aap  ne  joban  māshā-allāh  māshā-allāh
gul  ruḳh-e-nāzuk  zulf  hai  sumbul  aañkh  hai  nargis  seb-e-zanaḳhdāñ
husn  se  tum  ho  ġhairat-e-gulshan  māshā-allāh  māshā-allāh
sāqī-e-bazm-e-roz-e-azal  ne  bāda-e-husn  bharā  hai  is  meñ
āñkheñ  haiñ  sāġhar  shīsha  hai  gardan  māshā-allāh  māshā-allāh
qahr  ġhazab  zāhir  kī  rukāvaT  āfat-e-jāñ  dar-parda  lagāvaT
chaah  kī  tevar  pyaar  kī  chitvan  māshā-allāh  māshā-allāh
ġhamza  uchakkā  ishva  hai  Daaku  qahr  adā.eñ  sehr  haiñ  bāteñ
chor  nigāheñ  naaz  hai  rahzan  māshā-allāh  māshā-allāh
nuur  kā  tan  hai  nuur  ke  kapḌe  us  par  kyā  zevar  kī  chamak  hai
chhalle  kañgan  ikke  joshan  māshā-allāh  māshā-allāh
jam.a  kiyā  ziddain  ko  tum  ne  saḳhtī  aisī  narmī  aisī
mom  badan  hai  dil  hai  aahan  māshā-allāh  māshā-allāh
vaah  'amīr'  aisā  ho  kahnā  sher  haiñ  yā  ma.ashūq  kā  gahna
saaf  hai  bandish  mazmūñ  raushan  māshā-allāh  māshā-allāh