saraktī  jaa.e  hai  ruḳh  se  naqāb  āhista  āhista
nikaltā  aa  rahā  hai  āftāb  āhista  āhista
javāñ  hone  lage  jab  vo  to  ham  se  kar  liyā  parda
hayā  yak-laḳht  aa.ī  aur  shabāb  āhista  āhista
shab-e-furqat  kā  jaagā  huuñ  farishto  ab  to  sone  do
kabhī  fursat  meñ  kar  lenā  hisāb  āhista  āhista
savāl-e-vasl  par  un  ko  adū  kā  ḳhauf  hai  itnā
dabe  hoñToñ  se  dete  haiñ  javāb  āhista  āhista
vo  bedardī  se  sar  kāTeñ  'amīr'  aur  maiñ  kahūñ  un  se
huzūr  āhista  āhista  janāb  āhista  āhista