firāq-e-yār  ne  bechain  mujh  ko  raat  bhar  rakkhā
kabhī  takiya  idhar  rakkhā  kabhī  takiya  idhar  rakkhā
shikast-e-dil  kā  baaqī  ham  ne  ġhurbat  meñ  asar  rakhā
likhā  ahl-e-vatan  ko  ḳhat  to  ik  gosha  katar  rakkhā
barābar  ā.īne  ke  bhī  na  samjhe  qadr  vo  dil  kī
ise  zer-e-qadam  rakkhā  use  pesh-e-nazar  rakkhā
miTā.e  dīda-o-dil  donoñ  mere  ashk-e-ḳhūnīñ  ne
ajab  ye  tifl  abtar  thā  na  ghar  rakkhā  na  dar  rakkhā
tumhāre  sañg-e-dar  kā  ek  TukḌā  bhī  jo  haath  aayā
aziiz  aisā  kiyā  mar  kar  use  chhātī  pe  dhar  rakkhā
jināñ  meñ  saath  apne  kyuuñ  na  le  jā.ūñgā  nāseh  ko
sulūk  aisā  hī  mere  saath  hai  hazrat  ne  kar  rakkhā
na  kī  kis  ne  sifārish  merī  vaqt-e-qatl  qātil  se
kamāñ  ne  haath  joḌe  teġh  ne  qadmoñ  pe  sar  rakkhā
ġhazab  barse  vo  mere  aate  hī  ma.alūm  hotā  hai
jagah  ḳhālī  jo  paa.ī  yaar  ko  ġhairoñ  ne  bhar  rakkhā
baḌā  ehsāñ  hai  mere  sar  pe  us  kī  laġhzish-e-pā  kā
ki  is  ne  be-tahāshā  haath  mere  dosh  par  rakkhā
zamīñ  meñ  dāna-e-gandum  sadaf  meñ  ham  hue  gauhar
hamāre  ijz  ne  har  ma.arka  meñ  ham  ko  dar  rakkhā
tire  har  naqsh-e-pā  ko  rahguzar  meñ  sajda-gah  samjhe
jahāñ  tū  ne  qadam  rakkhā  vahāñ  maiñ  ne  bhī  sar  rakkhā
amiir  achchhā  shagūn-e-mai  kiyā  saaqī  kī  furqat  meñ
jo  barsā  abr-e-rahmat  jā-e-mai  shīshoñ  meñ  bhar  rakkhā