ham-sar-e-zulf  qad-e-hūr-e-shamā.il  Thahrā
laam  kā  ḳhuub  alif  madd-e-muqābil  Thahrā
dīda-e-tar  se  jo  dāman  meñ  girā  dil  Thahrā
bahte  bahte  ye  safīna  lab-e-sāhil  Thahrā
kī  nazar  rū-e-kitābī  pe  to  kuchh  dil  Thahrā
maktab-e-shauq  bhī  qur.ān  kī  manzil  Thahrā
nighat-e-gul  se  pareshān  huā  us  kā  dimāġh
ḳhanda-e-gul  na  huā  shor-e-anādil  Thahrā
najd  se  qais  jo  aayā  mare  zindāñ  kī  taraf
der  tak  gosh-bar-āvāz-e-salāsil  Thahrā
husn  jis  tifl  kā  chamkā  vo  huā  bā.is-e-qatl
jis  ne  talvār  sambhālī  mirā  qātil  Thahrā
ḳhat  jo  niklā  ruḳh-e-jānāñ  pe  milā  bosa-e-ḳhāl
yahī  daana  faqat  is  kisht  kā  hāsil  Thahrā
alam  ik  nuqta  jo  mash.hūr  thā  ai  josh-e-junūñ
ġhaur  se  kī  jo  nazar  nuqta-e-bātil  Thahrā
duur  jab  tak  the  taḌaptā  thā  meñ  kaisā  kaisā
paas  aa  kar  vo  jo  Thahre  to  mirā  dil  Thahrā
kasrat-e-dāġh  se  gul-dasta  banā  dil  to  kyā
zīnat-e-bāġh  na  ārā.ish-e-mahfil  Thahrā
dauḌtā  qais  bhī  aatā  hai  nihāyat  hī  qarīb
ik  zarā  naaqe  ko  ai  sāhib-e-mahmil  Thahrā
dam  jo  betāb  thā  muddat  se  mire  siine  meñ
teġh-e-qātil  ke  tale  kuchh  dam-e-bismil  Thahrā
ham  baḌī  duur  se  aa.e  haiñ  tumhārā  hai  ye  haal
ghar  se  darvāze  tak  aanā  ka.ī  manzil  Thahrā
ab  tak  aatī  hai  sadā  turbat-e-lailā  se  'amīr'
sārbān  ab  to  ḳhudā  ke  liye  mahmil  Thahrā