va.ada-e-vasl  aur  vo  kuchh  baat  hai
ho  na  ho  is  meñ  bhī  koī  ghaat  hai
ḳhalq  nāhaq  darpai-e-isbāt  hai
hai  dahan  us  kā  kahāñ  ik  baat  hai
bosa-e-chāh-e-zanḳhdāñ  ġhair  leñ
Duub  marne  kī  ye  ai  dil  baat  hai
ghar  se  nikle  ho  nihatte  vaqt-e-qatl
ye  bhī  bahr-e-qatl-e-āshiq  ghaat  hai
maiñ  ne  itnā  hī  kahā  banvāo  ḳhat
ye  bigaḌne  kī  bhalā  kyā  baat  hai
ba.ad  muddat  baḳht  jaage  haiñ  mire
baiThe  haiñ  sone  ko  saarī  raat  hai
kyā  karūñ  vasf-e-butān-e-ḳhud-pasand
in  se  baḌh  kar  bas  ḳhudā  kī  zaat  hai
bātoñ  bātoñ  meñ  jo  maiñ  kuchh  kah  gayā
hañs  ke  farmāne  lage  kyā  baat  hai
harf-e-matlab  saaf  kah  saktā  nahīñ
hai  adab  maan.e  ki  pahlī  raat  hai
mujh  se  ho  iz.hār-e-ulfat  vāh-vā
aap  ke  farmāne  kī  ye  baat  hai
ro  rahe  haiñ  ham  milā  de  lab  se  lab
mai-kashī  ho  sāqiyā  barsāt  hai
zach  hai  terī  chaal  se  raftār-e-charḳh
mohr-e-ruḳh  se  bāzī-e-mah  maat  hai
kaisī  kaTtī  hai  siyah-baḳhtī  meñ  umr
raat  se  din  din  se  bad-tar  raat  hai
chheḌtā  hai  dil  ko  kyā  ai  dard-e-hijr
ḳhud  giraftār-e-hazār-āfāt  hai
ai  ġhanī  de  sīm-o-zar  vaqt-e-balā
māl-e-duniyā  jaan  kī  ḳhairāt  hai
gar  jagah  dil  meñ  nahīñ  phir  is  se  kyā
ye  doshambe  kī  ye  budh  kī  raat  hai
saaf  kah  de  tū  yahāñ  aayā  na  kar
yaar  ye  sau  baat  kī  ik  baat  hai
laḳht-e-dil  haiñ  mere  khāne  ko  'amīr'
bas  inhīñ  TukḌoñ  pe  ab  auqāt  hai