tiir  par  tiir  lagāo  tumheñ  Dar  kis  kā  hai
siina  kis  kā  hai  mirī  jaan  jigar  kis  kā  hai
ḳhauf-e-mīzān-e-qayāmat  nahīñ  mujh  ko  ai  dost
tū  agar  hai  mire  palle  meñ  to  Dar  kis  kā  hai
koī  aatā  hai  adam  se  to  koī  jaatā  hai
saḳht  donoñ  meñ  ḳhudā  jaane  safar  kis  kā  hai
chhup  rahā  hai  qafas-e-tan  meñ  jo  har  tā.ir-e-dil
aañkh  khole  hue  shāhīn-e-nazar  kis  kā  hai
nām-e-shā.ir  na  sahī  sher  kā  mazmūn  ho  ḳhuub
phal  se  matlab  hameñ  kyā  kaam  shajar  kis  kā  hai
said  karne  se  jo  hai  tā.ir-e-dil  ke  munkir
ai  kamāñ-dār  tire  tiir  meñ  par  kis  kā  hai
merī  hairat  kā  shab-e-vasl  ye  baa.is  hai  'amīr'
sar  ba-zānū  huuñ  ki  zaanū  pe  ye  sar  kis  kā  hai