jab  se  bāñdhā  hai  tasavvur  us  ruḳh-e-pur-nūr  kā
saare  ghar  meñ  nuur  phailā  hai  charāġh-e-tūr  kā
baḳht-e-vāzhūñ  se  jale  kyuuñ  dil  na  mujh  mahrūr  kā
marham-e-kāfūr  se  muñh  aa  gayā  nāsūr  kā
is  qadar  mushtāq  huuñ  zāhid  ḳhudā  ke  nuur  kā
but  bhī  banvāyā  kabhī  maiñ  ne  to  sañg-e-tūr  kā
tujh  ko  laa.e  ghar  meñ  jannat  ko  jalāyā  rashk  se
ham-baġhal  tujh  se  hue  pahlū  dabāyā  huur  kā
gor-e-kāfir  kis  liye  hai  tīra-o-tār  is  qadar
paḌ  gayā  saaya  magar  merī  shab-e-dījūr  kā
husn-e-yūsuf  aur  tere  husn  meñ  itnā  hai  farq
choT  ye  nazdīk  kī  hai  vaar  thā  vo  daur  kā
qasr-e-tan  bigḌā  kisī  kā  gorkan  kī  ban  paḌī
ghar  kisī  kā  gir  paḌā  ghar  bin  gayā  mazdūr  kā
chehra-e-jānāñ  se  sharmā  kar  chhupāyā  ḳhuld  meñ
ḳhāma-e-taqdīr  ne  khīñchā  jo  naqsha  huur  kā
hājat-e-mushshāta  kyā  ruḳhsār-e-raushan  ke  liye
dekh  lo  gul  kāTtā  hai  kaun  sham-e-tūr  kā
zulf-o-rū-e-yār  se  nairañg-e-qudrat  hai  ayaañ
mahr  ke  panje  meñ  hai  dāman  shab-e-dījūr  kā
ḳhāksārī  kar  jo  ho  manzūr  āñkhoñ  meñ  jagah
ḳhaak  ho  kar  surma  bin  jaatā  hai  patthar  taur  kā
ġhāfiloñ  ke  kaan  kab  khulte  haiñ  san  kar  shor-e-hashr
sone  vāloñ  ko  jagā  saktā  nahīñ  ġhul  duur  kā
pūchh  lenā  sab  vatan  kā  haal  ai  ahl-e-adam
baiTh  lene  do  zarā  aatā  huuñ  uTThā  daur  kā
ijz  karte  haiñ  adū-e-jān  se  bhī  ḳhāsān-e-haq
jhuk  gayā  sar  aage  pā-e-dār  par  mansūr  kā
maut  kyā  aa.ī  tap-e-furqat  se  sehat  ho  ga.ī
dam  nikalne  se  badan  ThanDā  huā  ranjūr  kā
jaate  haiñ  mai-ḳhāna-e-ālam  se  ham  sū-e-adam
kah  do  az-ḳhud-raftagī  se  hai  irāda  duur  kā
mūziyoñ  ko  hādsoñ  se  dahr  ke  kyā  ḳhauf  hai
bārish-e-bārāñ  se  ghar  girtā  nahīñ  zambūr  kā
chashm-e-sāġhar  be-sabab  har  dam  lahū  rotī  nahīñ
muġhbachoñ  se  sāqiyā  dil  phaT  gayā  añgūr  kā
jaate  haiñ  mai-ḳhāna-e-ālam  se  ham  sū-e-adam
kah  do  az-ḳhud-raftagī  se  hai  irāda  duur  kā
kī  nazar  jis  par  kudūrat  se  rahā  ḳhāmosh  vo
hai  asar  gard-e-nigāh-e-yār  meñ  sindūr  kā
jalva-e-māshūq  har  jā  hai  basīrat  ho  agar
kirmak-e-shab-tāb  meñ  aalam  hai  sham-e-tūr  kā
mar  ke  yārān-e-adam  ke  paas  pahuñchūñgā  'amīr'
chalte  chalte  jaan  jā.egī  safar  hai  duur  kā