tirā  kyā  kaam  ab  dil  meñ  ġham-e-jānāna  aatā  hai
nikal  ai  sabr  is  ghar  se  ki  sāhib-ḳhāna  aatā  hai
nazar  meñ  terī  āñkheñ  sar  meñ  saudā  terī  zulfoñ  kā
ka.ī  pariyoñ  ke  saa.e  meñ  tirā  dīvāna  aatā  hai
vafūr-e-rahmat-e-bārī  hai  mai-ḳhvāroñ  pe  in  rozoñ
jidhar  se  abr  uThtā  hai  sū-e-mai-ḳhāna  aatā  hai
lagī  dil  kī  bujhā.e  bekasī  meñ  kaun  hai  aisā
magar  ik  girya-e-hasrat  ki  be-tābāna  aatā  hai
unhīñ  se  ġhamze  kartī  hai  jo  tujh  par  jaan  dete  haiñ
ajal  tujh  ko  bhī  kitnā  nāz-e-ma.ashūqāna  aatā  hai
pareshānī  meñ  ye  aalam  tirī  zulfoñ  kā  dekhā  hai
ki  ik  ik  baal  par  qurbān  hone  shāna  aatā  hai
chhalak  jaatā  hai  jām-e-umr  apnā  vā.e-nākāmī
hamāre  muñh  talak  saaqī  agar  paimāna  aatā  hai
vo  but  hī  mehrbāñ  sab  apnā  apnā  haal  kahte  haiñ
lab-e-ḳhāmosh  tujh  ko  bhī  koī  afsāna  aatā  hai
tilism-e-tāza  terā  sāya-e-dīvār  rakhtā  hai
badaltā  hai  parī  kā  bhes  jo  dīvāna  aatā  hai
ye  azmat  rah  ke  zāhid  in  butoñ  meñ  ham  ne  paa.ī  hai
ki  ka.aba  ham  ko  lene  tā-dar-e-mai-ḳhāna  aatā  hai
do-rañgī  se  nahīñ  ḳhālī  adam  bhī  sūrat-e-hastī
koī  hoshyār  aatā  hai  koī  dīvāna  aatā  hai
humā  yuuñ  ustuḳhvān-e-soḳhta  par  mere  girtā  hai
taḌap  kar  sham.a  par  jaise  koī  parvāna  aatā  hai
udhar  haiñ  husn  kī  ghāteñ  idhar  haiñ  ishq  kī  bāteñ
tujhe  afsūñ  to  mujh  ko  use  parī  afsāna  aatā  hai
kalejā  haath  se  ahl-e-tama.a  ke  chaak  hotā  hai
sadaf-āsā  agar  mujh  ko  mayassar  daana  aatā  hai
namak  jallād  chhiḌkā  chāhtā  hai  mere  zaḳhmoñ  par
maze  kā  vaqt  ab  ai  himmat-e-mardāna  aatā  hai
zabardastī  kā  dhaḌkā  vasl  meñ  tum  ko  samāyā  hai
kidhar  ho  hosh  meñ  aao  koī  aayā  na  aatā  hai
ilāhī  kis  kī  sham-e-husn  se  raushan  hai  ghar  merā
ki  ban  jaatā  hai  jugnū  aaj  jo  parvāna  aatā  hai
vo  āshiq  ḳhāl-o-ḳhat  kā  huuñ  nazr-e-mor  kartā  huuñ
mayassar  tīsare  din  bhī  jo  mujh  ko  daana  aatā  hai
'amīr'  aur  aane  vaalā  kaun  hai  gor-e-ġharībāñ  par
jo  raushan  sham.a  hotī  hai  to  haañ  parvāna  aatā  hai