kyā  hai  ki  aaj  chalte  ho  katrā  ke  raah  se
dekho  idhar  nigāh  milā  kar  nigāh  se
sharm-e-jafā  se  chhupte  ho  tum  dād-ḳhvāh  se
uzr-e-gunah  tumhārā  hai  bad-tar  gunāh  se
un  kī  hayā  o  sharm  ne  rakkhī  hai  dil  kī  sharm
kyā  hogā  jab  nigāh  milegī  nigāh  se
insāf  bhī  yahī  hai  yahī  shān-e-husn  bhī
haañ  haañ  nazar  churāo  qatīl-e-nigāh  se
baitus-sanam  se  duur  nahīñ  hai  haram  kī  raah
kyuuñ  raah  pūchheñ  zāhid-e-gum-karda-rāh  se
kyuuñ  shikva  ham  kareñ  adam-e-iltifāt  kā
vo  pūchhte  to  haiñ  nigah-e-gāh-gāh  se
zāhid  hazār  haif  ki  pahuñchā  na  koī  faiz
rindoñ  ke  mai-kade  ko  tirī  ḳhānqāh  se
parvānoñ  kā  hujūm  hai  sham.a-e-jamāl  par
jiitā  phiregā  kaun  tirī  jalva-gāh  se
shikva  karūñ  tumhārī  jafā  kā  to  rū-siyāh
dekho  na  tum  mujhe  nigah-e-uzr-ḳhvāh  se
ḳhush.hāli-e-raqīb  se  vo  shaad  shaad  haiñ
yaanī  haiñ  be-ḳhabar  mire  hāl-e-tabāh  se
gardan  jhukī  huī  hai  uThāte  nahīñ  haiñ  sar
Dar  hai  unheñ  nigāh  laḌegī  nigāh  se
niklā  na  koī  haif  yahāñ  qābil-e-shikār
sayyād  ḳhālī  haath  phirā  said-gāh  se
har  chand  'vahshat'  apnī  ġhazal  thī  girī  huī
mahfil  suḳhan  kī  guuñj  uThī  vaah  vaah  se