judā  kareñge  na  ham  dil  se  hasrat-e-dil  ko
aziiz  kyuuñ  na  rakheñ  zindagī  ke  hāsil  ko
nihāñ  agarche  hai  mahfil  se  soz-e-dil  merā
magar  ye  raaz  hai  ma.alūm  sham-e-mahfil  ko
vo  tuul  khīñchā  balā  kā  tire  taġhāful  ne
ki  sabr  aa  hī  gayā  mere  muztarib  dil  ko
kaThin  hai  kaam  to  himmat  se  kaam  le  ai  dil
bigāḌ  kaam  na  mushkil  samajh  ke  mushkil  ko
vo  kaam  merā  nahīñ  jis  kā  nek  ho  anjām
vo  raah  merī  nahīñ  jo  ga.ī  ho  manzil  ko
ḳhabar  huī  na  unheñ  mere  muztarib  dil  kī
ġhalat  ḳhayāl  hai  ye  dil  se  raah  hai  dil  ko
balā  kī  hotī  hai  'vahshat'  kī  bhī  ġhazal-ḳhvānī
ki  ik  surūr  sā  hotā  hai  ahl-e-mahfil  ko